Khelo India Games Se Future Generation Ko Hoga Fayda

Apeksha Fernandes, Jo India Ki One Of The Brightest Rising Star Hai Swimming Mein Is Baar Khelo India Youth Games Mein Second Time Participate Kar Rahi Hai.  Unka Manna Hai Ki Ye Ek Great Platform Hai Jo Ki Swimmers Ko Apna Potential Show Karke Dikhane Mei Unki Help Karta Hai Aur Future Generation Ko Aage Badhne Ke Liye Confidence Bhi Provide Karata Hai.

Last Year Peru Mein Huye Junior World Swimming Championships Ke 200m Butterfly Event Ke Final Mein Pahochne Wali First Indian Bani Thi Apeksha. 2:19.14 Ki Timing Ke Sath Unhone Apna Khud Ka National Record Broke Kiya.

Panchkula Mein Huye KIYG Ke 4th Edition Mein Unhone 5 Gold Aur 1 Silver Medal Jeeta Tha. 100m Butterfly, 200m Butterfly, 200m IM, Aur 50m Breaststroke Mein Unhone Gold Jeeta Tha. Aur Relay Mein Bhi Gold Medal Jeeti Thi. Relay Competition Mein Silver Medal Jeetne Wali Maharashtra Team Ka Part Bhi Rah Chuki Hai Wo.

Apeksha, Jo Ki IIT Mumbai Swimming Pool Aur Forest Club Hiranandani Mein Mohan Reddy Ke Supervision Mein Practise Kar Rahi Hai Unhone Khelo India Ko Bahot Hi Positive Platform Describe Kiya Hai.. Unhone Kaha Hai Ki, “Mujhe Lagta Hai Ki Ye Sabhi Ke Liye Ek Badjhiya Platform Hai. Isme Young Swimmers Bhi Participate Karte Hai Aur Aapko Unke Sath Compete Krne Ka Chance Milta Hai. Jisse Ki Confidence Milta Hai Aur Ek Much Needed Platform Bhi Milta Hai Aage Badhne Ke Liye. Isme Country Ke Best Athletes Aate Hai, Isse Aap Unke Aur Unke Sport Ke Bare Mein Jaante Hai. Aap Sabhi Se Kuch Na Kuch Sikhte Hai. Un Sabhi Players Ke Liye Jo Ki In Games Mei Part Lete Hai Un Sab Ke Liye Ek Behatreen Opportunity Hai.”

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »