KC Public School Ne Jeete 30 Medals

KCPS Public School Ke Swimmers Ki Impressive Performance Ki Wajah Se Unhone Organized Huye Is Swimming Event Mein 30 Medals Jeet Kar Apne Naam Kiye. Yah CBSE Sahodaya Inter-School Swimming Meet 2019 Ka Swimming Event Tha Jo Ki Jammu Ke Jodhamal Public School Mein Aayojit Hua Tha. KCPS Public School Ke Students Ne Is Event Mein Behatreen Performance Di. Is Event Mein Aur Bhi Kai Schools Ke Swimmers Ne Participate Kiya Tha. CBSE Se Affiliated Lagbhag 13 Schools Ne Is Event Mein Participate Kiya Tha Aur Sabhi Schools Ke Swimmers Ne Apni Taraf Se Apna Best Performance Diya.

KCPS Public School Ke Swimmers Dwara Jeete Gaye 30 Medals Mein Se 7 Gold Medal, 12 Silver Medal Aur 11 Bronze Medals Shaamil Hai. KCPS Public School Ke Swimmers Ki Is Badi Team Mein Jo Swimmers Shaamil The Unke Naam Kuch Is Prakaar Hai :-

Boys Girls
Aayan Sharma Sarvani Choudhary
Aativ Gupta Samragi Rakwal
Vedant Bandral Gauri Sharma
Ayam Gandotra Anya Kohli
Ranveer Choudhary Arya Raina
Vikrant Singh, Arya Bhat
Saurya Sambyal Dyuti Sharma.
Medhaj Akshita Singh
Naman Khola Xena Bandhu
Arnav Vaid Jhanvi Khola
Nischal Bhushan Junita Bhat
Arya, Nirvan Chaudhary Arya
Vikas Kaul Anika Gandotra
Mujtaba-Ul-Hassan Saanvi Andotra
Lakshay Singh Garima Bhat
Siddhant Gupta Samya Vaid
Rajya Vardhan Ehsaas Digra
Arnav Rai  
Sushant Singh  

KC Public School Ki Is Excellent Performance Ko Dekh Kar School Ke Principal Amarendra Kumar Mishra Ne Participate Karne Wale Swimmers Ko Aur Sath Hi Sath Unki Coach Babita Rani Aur Sahil Ko Bhi Badhai Di.

Source: Dailyexcelsior

News, Tips And Workout Ke Liye Aap SwimSwam Hindi Ko Visit Karte Rahe And Facebook Par Bhi SwimSwam Hindi Ko Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »