Jindagi Se Har Gya Para-National Champ Amartya Chakraborty-Indian Swimming News

Amartya Chakraborty, Jo Ki Three-Time Former National Para-Swimming Champion The Wo Life Aur System Ke Saath Chal Rahi Prolonged Battle Ko Wednesday, April 20 Ko Haar Gye. Unhone GB Pant Hospital, New Delhi Mei Last Breath Li Aur 19 Ki Young Age Mei Hi “Sudden Cardiorespiratory Arrest” Ka Shikaar Ho Gye.

Five Years Pahle Amartya Ko Para Swimming Events Mei Compete Krne Ke Liye “Ineligible” Declare Kr Diya Gya Tha. Hospital Mei Unki Treatment Chal Rhi Thi Spinal Cord Disorder Ki, Jiski Wajah Se Unki Lower Body Almost Paralysed Ho Gyi Thi.

Ye West Bengal Ke Howrah District Ke Salkia Ke Rahne Wale The. Apne Parents Ke Eklaute Son The Amartya. Unke Father Amitosh Chakrabortry, Two Months Mei Retire Hone Wale Hai Aur Unhone Apni Puri Life Ki Savings Apne Son Ki Treatment Par Laga Di Hai.

Ek Father Ko Financial Assistance Ke Liye Plead Krna Pada Taaki Wo Apne Son Ki Body Delhi Se Apne Home Town West Bengal Wapas Laa Sake. Amitosh Per Month 18,000 Rs Earn Karte Hai As A Salary Par Apne Son Ko Treat Karate Huye Pauper Bann Gye The.

Amitosh Ne PTI Se Kaha, “Mere Paas Two Years Ki Service Bachi Hai Aur Maine Apne Saare Expenses, Jisme PPF Bhi Include Hai Use Apne Bête Ke Treatment Pr Spent Kr Diya. Ab Hamare Paas Itne Bhi Paise Nhi Hai Ki Use Wapas Laa Sake Kolkata,” The Print Ne Report Krte Huye Kaha.

Unhone Kaha Ki Financial Assistance Ke Liye Unhone Constantly Request Kiya Tha Sports Ministry Aur Paralympic Committee Of India (PCI) Se, Par Sbhi Baatein ‘Deaf Ears’ Par Padi. Unhone Kaha Ki Agar Unhe Thoda Financial Aid Mil Jaata Toh Wo Apne Son Ko Bacha Skte The Kyuki Doctors Ne Kaha Tha  Ki Unke Son Ka Disorder Treatable Hai.

PCI Ka Kahna Hai Ki:- Gursharan Singh, The Secretary-General Of The Paralympic Committee Of India Ne Kaha Hai Ki Unki Organisation Khud Others Aur Government Ke Grants Par Operate Krti Hai Isliye Wo Bhi Para Athlete Ko Financially Help Nhi Kr Skte Hai.

Uhone PTI Se Kaha, “Kai Baar, PCI Ke Paas Khud Money Ki Shortage Rhti Hai Apne Affairs Ko Run Krne Ke Liye Aur Aisi Situation Mei Hum Athletes Ko Financial Help Kaise Offer Kr Skte Hai? Hamara Main Objective Hai Ki Country Mei Para-Sports Ko Promote Kare, Aur Hume Is Direction Mei Limited Resources Par Hi Spend Krna Hai,” Publication Ne Quote Kiya.

Amartya Ne Early Age Mei Hi Ki Swimming Ki Shuruwaat:

Amartya Ki Fingers Deformed Thi Aur Multiple Diseases Se Suffered Kar Rhe The, Isme Artery Vein Malfunction Bhi Include Hai Aur Scoliosis Bhi Jiski Wajah Se Throughout Unki Body Mei Uneven Symmetry Ho Rahi Thi.

Unhe Temporary Disability Ke Under Categorised Kiya Gaya Tha Aur Unhone Early Age Mei Swimming Ki Shuruwat Kr Di Thi, Aur. Three Consecutive Years Me; 2015, 2016 & 2017 Me National Titles Jeeta Tha Junior Aur Sub-Junior Levels Par.

Prasanta Karmakar, Unke Former Coach Ne Kaha, “Unki Timings Us Time Ke Seniors Se Bhi Better Thi. Wo Sure Shot Contender The Paralympics Ke. But Jab Se Unhe Ek Baar Ineligible Bana Diya Gya Tha Tab Se Unke Diseases Ne Unhe Affect Krna Start Kr Diya,” Publication Ne Quote Kiya.

Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »