India Mein Swimming Scenario Hoga Change: Coach Nihar Ameen

Nihar Ameen, India Mein Most Eminent Swimming Coach Haii. Dronacharya Awardee Ameen Ne Already International Standard Ke Several Swimmers Produced Kiye Huye Hai. Indian Swimming Ne 2010 Mein Guangzhou Mei Huye Asian Games Mein Virdhawal Khade Ko 50m Butterfly Event Mein Bronze Medal Jeette Huye Dekha Hai. Uske 4 Saal Ke Andar Hi Ek Aur Indian Swimmer Sandeep Sejwal Ne 2014 Asian Games Mein Bronze Medal Jeeta Tha. Ye Dono Swimmers Nihar Ameen Ke Students Hai.

Current Swimmer Srihari Nataraj Jinhone Tokyo Olympics Ke Liye ‘A’ Qualification Mark Acquire Kiya Thaw O Bhi Nihar Ameen Ke Hi Student Hai.

Ameen Ka Coaching Career Unki Sister Shahnaz Shacoor Ke Sath Start Hua Tha. 1982 Games Mein Youngest Swimmer Hone Ke Bawjood Bhi Shacoor Helpless Feel Kar Rahi Thi Bina Kisi Guidance Ke Tab Ameen Ne Apni Sister Ko Train Krna Start Kiya Tha. Wo Daur Ameen Ke Liye Easy Nhi Tha Aur Unki Bahen Ke Liye Bhi. Apni Sister Ko Train Krte Time Ameen Ko Two Corporation Swimming Pool Jo Ki Jayanagar Aur Sadashivanagar Mei Tha Uske Beech Shuffle Karna Padta Tha. Shacoor Ko Public Bathches Mein Practice Krna Padta Tha, Aur Us Time Pool Mei Wo Akeli Female Swimmer Thi.

Banglore Mein Us Time Privately Coaching Ka Koi Infrastructure Nhi Tha. Shacoor Ki Performance Gradually Improve Hone Lgi Aur Ameen Ka Training Programs Bhi Us Time Ke Leading National Swimmers Jaise Ki Wilson Cherian Aur Bula Choudhary Ka Attention Bhi Khichne Laga. Unhone Bhi Ameen Se Assistance Liya.

1988 Mein Shacoor Ne Swimming Chhod Diya Toh Ameen Ne Bhi Coaching Stop Kar Di Thi Aur Apne Father Ke Furniture Ke Business Ko Join Kar Liya Tha. But 1989 Mein Scenario Changed Ho Gaya Jab Banglore Based Ek Businessman Ne Local Authority Se Basavanagudi Aquatic Center Ko Lease Par Le Liya Aur Ameen Ko Unke Unfulfilled Dream Ko Pura Karne Aur Kids Ko Unke Goals Achieve Karane Ki Request Kar Ke Pool Ki Jimmedari Unhe De Di.

Coaching Mei Mastery Pane Ke Liye Ameen USA Gaye Aur Waha Par USA Olympic Coach Jack Nelson Ke Under Mein As A Apprentice Work Kiye Aur Apna Certification Course Bhi Complete Kiye. Uske Baad Ameen 2010 Mein Dolfin Aquatics Ke Head Coach Aur Program Director Bhi Bane Jo Ki Karnataka Ka Sabse Purane Swimming Pools Mein Se Ek Hai.

Nihar Ameen Ka Manna Hai Ki Swimming Mei Ek International Medal Pura Scenario Change Kar Dega. Unka Ultimate Aim Hai Aise Aur Swimmers Ko Produce Karna Jo Ki Major International Competitions Mein Medals Laa Sakte Hai.

SwimSwam Hindi Facebook

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »