Sayani Das, jo currently Oceans Seven Challenge ke seven channels me se six ko cross karne wali first Asian female swimmer hain, ne recently Strait of Gibraltar ko cross karne aur challenge ke apne last mission, Tsugaru Strait ke baare me khulkar baat ki.
Unhone India me adventure water sports se associated challenges par bhi baat ki.
Sayani ne recently ANI se April 2025 me Spain and Morocco ke beech Strait of Gibraltar ko cross karne ke baare me baat ki, jo ki Oceans Seven Challenge ka part hai, jo seven open-water channels se yukt ak marathon swimming challenge hai.
2023 me, unhe President Droupadi Murmu dwara adventure category me Sayani Das ko Tenzing Norgay National Adventure Award 2023 se honour kiya gaya.
Mission ke baare me ANI se baat karte huye, Sayani ne kaha ki Strait of Gibraltar me swimming ak “mixed experience” tha.
“Ye ak mixed experience tha kyunki ye ak adventure sport hai. Aap future predict nahi kar sakte ki aage kya hoga. Kabhi-kabhi, aap kuchh predict karte hain lekin hota kuch aur hai. Toh Haan, ye ak mixed experience tha,” unhone kaha.
Sayani ne ye bhi bataya ki unhone pool swimmer ke roop me start kiya tha aur jaise-jaise unki journey aage badhi unhone long-distance ki open-water swimming me kadam rakha.
Unhone kaha, 2017 me swimming ki aur July 2017 me English Channel ko cross kiya. Phir unhone June 2019 me Catalina chanel ko cross kiya. 2022 me Hawaii me Moloka’i Channel me bhi swimming ki, channel ko cross karne wali first Asian female bani. Phir baad me April 2024 me New Zealand me Cook Strait ko cross kiya. Baad me August me, unhone North Channel cross kiya, aisa karne wali wo first Indian female ban gayi. Ab unhone iss month Strait of Gibraltar ko cross kar liya hai. Baaki bacha ak Tsugaru Strait (Jo northern Japan me Onshu and Hokkaido ke beech hai) aur ye unka mission hai.
Sayani ne kaha ki jab unhone long-distance open water swimming start ki toh unke diet, practice and other aspects bhi change ho gaye.
Isse pahle wo pool me continuously ak ghante swimming karti thi. Ab continuously 15 ghante swimming karti hain. Wo ice bath bhi leti hain. Iss process me ak drum me 60-70 kg ice rakhi jaati hai aur temperature 5°C to 7°C ke aaspas hota hai. Wo aisa isliye karti hain taaki wo inn channels ke cold conditions ke according khud ko acclimatise kar sakein. Iss time unke parents, school, college and various sponsors ne unki help ki hai. Unke mentor Sushil Kumar Mishra ne bhi unhe assistance di. Matrix (Fertilisers and Chemicals), Surajit Bakshi and BC Roy Engineering College, Durgapur sahit kai sponsors unke support ke liye aage aaye hain. Wo ak middle-class family se hain aur unke father ak primary school ke teacher hain. Unhone bhi unko support kiya. Unhe koi mental pressure face nahi karna pada.
Sayani ne ye bhi bataya ki unhone Strait of Gibraltar ko 4 ghante se kam time me cross kiya aur apne sport se associated challenges ke baare me bhi bataya.
Unhone bataya ki jab wo tairte hain toh unhe ak paper pe sign karna hota hai, jisme likha hota hai ki agar kuchh hota hai toh unki responsibility hai.
Apne next challenge ke baare me Sayani ne kaha ki wo Oceans Seven Challenge ko follow karna chahti hain aur aisa karne wali first Asian and Indian banna chahti hain.
Unhone kaha, Iske baad wo coach banna chahti hain aur apne experiences new generation ke saath share karna chahti hain.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi