Stiff NOC Norms Ke Karan Noida Ki Societies Ne Khole Pools

Iss summer season me swimming pool window ak mahine kam ho gayi hai isliye condominiums ne residents ke liye pools open karna start kar diya hai, jabki unhe sports department se no-objection certificates milne ka intjaar hai.

Iss saal se clearance ke liye new conditions ki wajah se NoCs me delay ho rahi hai, jisme mandatorily ak woman trainer ki recruitment  important hai. Halanki, isko follow karna tough raha hai kyunki iss kaam ke liye enough qualified professionals nahi hain, kai RWAs ne TOI ko bataya ki unhe residents se pressure face karna pad raha hai, jo monthly maintenance ke part ke roop me pool upkeep charges pay kar rahe hain, jo typically 3000 rupees se 6000 rupees per month hota hai.

Sector 168 ke ak condominium ke AOA representative, jisne last week apna pool open kiya tha, ne TOI ko bataya, “Log pool ke charges pay kar rahe hain lekin almost ak mahine se iska use nahi kar pa rahe hain, kyunki hume female coach nahi mil paai hai.”

Greater Noida West society ke ak representative ne kaha ki additional lifeguard rakhne se AOA ka monthly budget disturb ho jayega. Unhone kaha “Humein ak new coach ko at least 30k monthly salary dena hoga, isliye maintenance charges par bhi phir se kaam karna hoga.” Iss condominium ne bhi without NOC apna pool open kar diya hai.

Women trainers ko hire karne ke alawa, pool operators ko CCTV cameras lagane, men and women ke liye separate changing rooms rakhne, sports department ko facility ko maintain karne wali agency ke baare me inform karne aur NOC obtain karne ke liye ak comprehensive disaster management plan submit karne ki bhi jarurat hogi.

Jabki schools and academies jaise institutional setups ke liye compliance smooth raha hai, apartment complexes ko logistical and financial challenges ko face karna pad raha hai. Noida High Rise Federation (NHRF) ke president Nikhil Singhal ne kaha, “Choonki, pool keval 3-4 months tak operate hote hain isliye delay jarur season ko khatm kar rahi hai.” Sector 119 me Eldeco Amantran me rahne wale Singhal ne kaha, “Hum administration se pragmatic approach apnane aur pending NOCs ko jald se jald poora karne ki request karte hain. Otherwise, residents keval unn months se chook jayenge jab pool ka use viable hai.” Ye typically, April me open hote hain aur mid-October me band ho jaate hain.

April se sports department ko pool license renewal ke liye 400 applications receive huye hain lekin ab tak kewal 125 NOC hi diye gaye hain. 125 applications me se 50 schools, private academies or centres and hotels se hain. Baaki residential societies se hain.

Department ne 275 applications ko withheld kar diya hai, jinme se jadatar high-rise societies se the, kyunki wo requirements poori nahi karte the. Thursday ko, district sports officer Anita Nagar ne kaha ki unki teams surprise inspections karengi aur agar societies bina NOC ke pools run karte paai gayi toh unhe seal kar dengi. Unhone hefty fines ki warning bhi di.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »