Goa me held 24th National Para Swimming Championship me Bikaner ki Vidyawati Kumari aur Yashu Swami ne shandar perform kar medals jeete. Vidyawati ne silver medal aur Yashu ne bronze medal haasil kar na keval district ka, balki state ka maan bhi badhaya. Vidyawati Kumari ne SB 7 Category me 50m breaststroke me silver medal jeetkar apni hard work and dedication ka parichay diya.
Isse pahle, state level competitions me Vidyawati ne 50m and 100m breaststroke me 2 gold aur 100m backstroke me silver medal jeete the. Present me Rajasthan Viduta Prasar Nigam me Junior Accounts ki post par kaam kar rahi Vidyawati ka dream hai ki wo India ke liye Olympics me khelein. Unhone apni success ka credit apne coach Vijay Sharma ko diya, jinhone unhe swimming pool ki baarikiyan sikhai aur har kadam par unhe motivate Kiya.
Bikaner ki Yashu Swami, jo apni aakhon se dekh nahi sakti, lekin unka sapna aur jajba unhe har challenge se upar uthata hai. Yashu ne 50m backstroke me bronze medal secure kiya, jo unki hardwork and determination ko dikhata hai. Yashu ne apne coach Vijay Sharma ko thanks bolte huye kaha ki wo upcoming tournaments me aur better perform karne ke liye poori tarah taiyar hain.
Coach Vijay Sharma Ke Guidance Ka Kamal
Dono players ne apne coach Vijay Sharma ko thanks bola, jinhone na keval unhe technical training di balki har mushkil samay me unka hausla bhi badhaya. Coach Vijay Sharma ne bataya ki Vidyawati aur Yashu ki performance har uss youth ke liye inspiration hai, jo apni dreams ko fulfill karne ke liye problems face kar rahi hain. Bikaner ne inn players par proud feel kiya aur inke bright future ki kaamna ki hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi