National Games ke liye selected Vijaywada ki swimmer U. Premamrutha (17) ki life subah 4:30 baje uth ke, swimming session ke liye jana, apni missed classes ko complete karna aur phir se training session ke liye jana shaamil hai.
Unke schedule me social media and other activities ke liye koi time nahi hai.
March-April me 12th ke board exams aur January end me unka next competition hone wala hai, isliye unhe apne liye mushkil se hi time mil pata hai. Lekin wo exhausted ya disappointed feel nahi karti hain.
Premamrutha kahti hain ki unhe paani me rahna kaafi pasand hai aur swimming ka shauk hai. Halanki unke grandparents ko lagta hai ki ladkiyon ko sports field me nahi jana chahiye, lekin unke parents unhe support karte hain. Unhone aage bataya ki wah bimar hone par bhi apne sessions miss nahi karna chahti hain.
Ak swimmer ke roop me unki journey tab start hui jab wo 9 saal ki thi, 20m ke swimming pool me. Unhe yaad hai ki wo apne fears and insecurities se overwhelmed thi, lekin determination se wo unn par kaabu pa saki. Jab wo 11 saal ki thi, tab unhone Vijaywada me Aqua Devils Welfare Association dwara aayojit Krishna river-cross competition me participate kiya.
2024 me, unhone Bapatla me held 77th Senior State Aquatic Championship me 4 gold medals jeete aur national tournament me participate kiya, 40th Sub-Junior and 50th Junior State Aquatic Championships me 4 gold medals aur Vishakhapatnam me held South Zone State Aquatic Championship me 5 gold medals jeete. Ye sabhi 50m or 100m ki categories me aur butterfly and freestyle stroke (technique) me the.
Unhone Vijaywada me 35th South Zone National National Aquatic Championship me participate kiya aur Under-17 category me bronze medal jeeta, jo national level par unka first medal tha. Unhone 50m butterfly competition 31.97 seconds me complete ki. Ab, wo Indian Olympics Association dwara held National Games ki preparation kar rahi hain, jo 29 January se 5 February tak Uttarakhand me start hone wala hai.
Premamrutha kahti hai, unhone kai hurdles ko face kiya hai. Butterfly ko toughest stroke me se ak mana jata hai, lekin iss khel ke liye unka pyar hi maayne rakhta hai. Wo apne alma mater N. St. Mathew (NSM) Public School ko online classes ki permission dene ke liye thanks bolti hain.
Former Principal Rev. Bo. Lawrence D’Souza unhe ak determined and passionate girl roop me yaad karti hain aur batati hain ki kaise unke parents ka support, school management ke saath, ak student ke liye magic kar sakta hai. Ab unki nazar Olympics par hai and White Shark Academy ke unke trainer ka manna hai ki wo aisa kar sakti hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi