Five-time Olympic gold medalist Kaylee McKeown ne apne mental health pe focus karne ke liye China me hone wale Lucrative World Cup swimming series se naam wapas le liya hai.
Australian star, jinhone iss saal Paris me apne 100m & 200m backstroke Olympic title retain rakhe, ne Friday ko Shanghai me leg ke first day compete karne ke baad ye decision liya.
Unhone Instagram pe kaha, “Main World Aquatics ko World Cup me aane aur race karne ki opportunity dene ke liye thanks bolna chahungi, Shanghai me ye bahot majedar raha.”
“Apne mental health ko priority dete huye, maine apne experience ko short karne ka decision liya hai. As an athlete, apne dil ki sunna aur ye janna bahot jaruri hai ki kab bahot ho gaya. Ab ak lambe time se overdue break ka time aa gaya hai.”
McKeown last year world cup series me ak dominant force thi, jisne overall women’s title and multiple world records break kiye.
Olympic me apne exploits ke baad, wo last month Australian short-course championships me kuchh hi weeks baad pool me wapas aa gayi thi, jabki unke kai contemporaries rest kar rahe the.
Unhone 100m short-course backstroke world record break kiya, uss time unhone kaha ki wah ghar pe baith ke “pagal” ho rahi thi.
World Cup Series next weekend South Korea jaayegi, iske baad Singapore jayegi.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi