Odisha Ki Swimmer Pratyasha Ray Ko Iss Saal ‘Ekalabya Puraskar’ Milega

Ak Official Ne Bataya Ki Swimming Ke Rising Star Pratyasa Ray Ko 2024 Ke Liye Prestigious Ekalabya Puraskar 2024 Ke Liye Select Kiya Gaya Hai. Iss Saal February Me Guwahati Me Huye Khelo India Games Me Ray Ne 6 Medals Jeete- 4 Gold, 1 Silver Aur 1 Bronze. Bhubneshwar Me Hui Ak Meeting Me Different Sectors Se Select Kiye Gaye Jury Members Wali Ekalabya Puraskar Committee Ne Ray Ko Prestigious Award Ke Liye Sarvsammati Dikhai. Ray Ko Baad Me Held Hone Wale Ceremony Me 7 Lakh Rupees Ka Cash Prize Diya Jayega, Jo Pahle 5 Lakh Rupees Tha, Saath Hi Citation Bhi Diya Jayega.

Sprinter Dondapati Mrutyam Jayaram And Badminton Player Tanvi Patri Ko Bhi Apne Apne Field Me Various International And National Level Events Me Unke  Remarkable Performances Ke Liye Sammanit Kiya Jayega.

Har Ak Citation Winner Ko Ceremony Me Citations Ke Saath 1.5 Lakh Ka Cash Prize Milega, Jo Pahle 1 Lakh Tha.

Ekalabya Puraskar Ki Sthapna 1993 Me Charitable Body Impact Dwara Ki Gayi Thi Aur Isko Manage Desh Me Leading Ferro Alloys Producer IMFA Dwara Kiya Jata Hai. Ise Ab Odisha Me Sabse Prestigious Sports Award Maana Jata Hai.

Ye Award Har Saal Odisha Ke Young Sportspersons Ko Last Do Saalon Me Unke Outstanding Performance Ke Liye Diya Jata Hai.

Sunday Ko Award Winners Ke Names Announce Karte Huye Ekalabya Puraskar Committee And Impact Ke Trustee Baijayant Panda Ne Kaha Ki Ye Award State Ke Young Sportspersons Ko National And International Level Par Perform Karne Ke Liye Encourage Karne Ke Liye Start Kiya Gaya.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »