Param Vir Chakra Ke Naam Par Bane Islands Par Swimming Expedition Ko Hari Jhandi

Defence Minister Rajnath Singh Ne Friday Ko New Delhi Me Andaman & Nicobar  Ke 21 Islands Me Apni Tarah Ke First Open Water Swimming Ko Hari Jhandi Dikhai. Inn Islands Ka Naam Param Vir Awardees Ke Naam Par Rakha Gaya Hai.

Andaman & Nicobar Command Ki Tri-Service Ne ‘Expedition Param Vir’ Launch Kiya, Jisme Army, Navy, Air Force And Coast Guard Ke Personnel Ki Ak Team Ne Gallantry Awardees Ko Tribute Dene Ke Liye Sabhi 21 Islands Par Tairkar Yatra Ki Aur Har Ak Island Par National Flag Unfurl Kiya. 11- Member Expedition Team Ko Wing Commander Paramvir Singh Ne Lead Kiya.

Iss Expedition Ko Formally World Water Day Par 22 March 2024 Ko Shri Vijayapuram Se Netaji Subhash Chandra Bose Island Tak Swimming Ke Inauguration Ke Saath Flag-Off Kiya Jayega.

Team Ne 5 Months Ke Time Period Me 300km Se Jyada Ki Distance Cover Kar Ke Sabhi 21 Islands Ki Yatra Ki. Expedition Culminate 15 August 2024 Ko 78th Independence Day Par Hua. Final Swim Armed Forces And Coast Guard Ke 78 Personnel Dwara Kiya Gaya, Jo Netaji Subhash Chandra Bose Island Se Shri Vijayapuram Tak Taire.

Sabhi Swimmers Ne ‘Unassisted Open Water Swim’ Ki Category Ke Liye International Standards And Regulations Ke According Expedition Chalaya, Jiske According Swimmers Ko Keval Swim Trunks, Goggles And Caps Hi Pahenne Chahiye.

Expedition Ko Commend Karte Huye Defence Minister Ne Kaha Ki Ye Government Ke Efforts Ke Anurup Hai, Taaki Yah Ensure Kiya Ja Sake Ki Desh Ki Seva Me Apna Balidan Dene Wale Indian Soldiers Ke Gallant Deeds Ke Baare Me Logon, Especially Youths Ko Pata Chale Aur Ye Bravehearts Unke Heroes Banen.

Event Ke Dauran Chief Of Diffence Staff General Anil Chauhan, Army Chief General Upendra Dwivedi, Commander-In-Chief Of The Andaman & Nicobar Command Air Marshal Saju Balakrishnan Aur Other Senior Officials Ki Presence Me Expedition Ka Flag Defence Minister Rajnath Singh Ko Hand Over Kiya Gaya.

Prime Minister Narendra Modi Ne 23 January 2023 Ko Netaji Subhash Chandra Bose Ki Birth Anniversary Par Prakarm Diwas Par Andaman & Nicobar Ke 21 Sabse Bade Unnamed Islands Ka Naam Pvc Awardees Ke Naam Par Rakha.

 

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »