3 Mahine Baad Phir Khulega Marina Pool

Almost 3 mahine tak band rahne ke baad Marina swimming pool next week khul jayega. Municipal administration and water supply minister K Nehru ne Saturday morning facility ka inspection kiya aur Greater Chennai Corporation (GCC) ko operations start karne ka instruction diya. Minister ne kaha hai ki local body directly maintain kar sakta hai. GCC ko June me Vepery and Thiruvottiyur ke pool ke saath public swimming pool ko close karne ke liye majboor hona pada. GCC commissioner J Kumaragurubaran ne kaha, “contractor ne chook ki thi aur poor maintenance ke karan hume terminate karna pada.”

Ab GCC pool ki deep cleaning karegi aur 3-4 dinon me ise taiyar kar degi.

Commissioner ne kaha,  “Hum pool ke liye new swimming coach hire karenge.” Iske alawa GCC QR code entry, payments and online ticketing system start karegi.

GCC 3 mahine tak pilot ke taur pe pool ko directly maintain and operate karegi bina isko private kiye.

Commissioner ne kaha ki ticketing system pool ko financially sustainable banane me bhi saksham banayega.

But swimmers ramps, railings and tactical floorings jaisi better safety amenities chahte hain. Marina pool ka frequent use karne wale 17 saal ke Bharat M ne kaha, “GCC ko ye bhi ensure karna chahiye ki pool ki depth pool ke paas signanges ke through indicate ki jaaye.”

Disabled activists chahte hain ki pool ko accessible banaya jaaye. Current me, keval Nehru Stadium and Velachery SDAT ( Sports Development Authority of Tamil Nadu) me hi swimming pool accessible hai. Geetha Kannan, ak district level paralympic swimmer ne kaha, “GCC me wheelchair users ke swim karne ke liye ramp and lift honi chahiye.”

Swimming pool generally har din subah 6 baje se 9 baje tak aur shaam 4 baje se 7 baje tak khula rahta hai.

Jab unse puchha gaya ki Vepery and Thiruvottiyur me other GCC swimming pool public ke liye kab khulenge, toh commissioner ne kaha ki wah uska inspection karenge aur jald hi public ke liye khol denge.

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »