20 Saal Ka Indian Student Swimming Pool Me Dooba

11 August Ko Hotel Management Ki Padhai Kar Rahe 20 Saal Ke Student Nomit Goswami Swimming Pool Me Doob Gaya. Originally Karnal Ke Arjun Colony Ka Rahne Wala Nomit 11 August Ko Ak Friend Ki Party Me Gaye The, Tabhi Ye Ghatna Ghati.

Amar Ujala Ki Report Ke According, 11 August Ki Raat Kareeb 8:30 Baje Nomit Ne Akele Hi Swimming Pool Me Jaane Ka Decision Liya. Wo Bahot Door Tak Chala Gaya Aur Doob Gaya. Uske Friends Ne Use Bachane Aur Hospital Le Jaane Ki Koshish Ki, Lekin Doctor Ne Use Dead Declare Kar Diya.

8 Mahine Pahle, 12 December 2023 Ko Nomit Ontario Me Hotel Management Ki Padhai Karne Ke Liye Student Visa Par Canada Gaya Tha. Nomit Le Father Subhash Goswami Ne Apne Pariwar Par Chhaye Dukh Ko Vyakt Kiya. Unhone Kaha, “Wo Mera Sabse Chhota Beta Tha. Humne Abroad Me Padhai Karne Ke Nomit Ke Dream Ko Fulfil Karne Ke Liye Ak Plot Becha Aur 23 Lakh Rupees Spent Kiye. Usne About One And A Half Months Pahle Hi Ontario Me Ak Restaurant Me Kaam Karna Start Kiya Tha. Wah Kaam Aur Padhai Ke Beech Bahot Achha Balance Bana Raha Tha.”

12 August Ko Family Ko Ye Devastating News Tab Mili Jab Canada Se Ak Relative Ne Unhe Nomit Ke Death Ki Soochna Di. Hindustan Times Ki Report Ke According, Baad Me Iss News Ko Nomit Ke Cousin Aur Canada Me Rahne Wale Friends  Ne Confirm Kiya. Nomit Ki Maa Ne Kaha, “Pool Party Me Shaamil Hone Se Pahle, Maine Usse Baat Ki Aur Use Pool Se Door Rahne Ke Liye Kaha.” Lekin Hume News Mili Ki Wah Pool Me Slip Ho Gaya Aur Uski Death Ho Gayi. Usne Do Hafte Pahle Hi Ak Restaurant Me Apni New Job Join Ki Thi Aur Wo Bahot Khush Tha.”

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »