World Aquatics Ne Doping Test Data Release Kiya

World Aquatics ne recently bataya ki Chinese athletes ko Paris Olympics ke pehle banned substances ke liye zyada test kiya gaya hai. Unhone 2024 ke sabhi aquatics athletes ka testing data bhi release kiya.

1 January se World Aquatics ne International Testing Agency (ITA) ke sath milkar Olympics ke liye ja rahe athletes par 2,145 anti-doping tests kiye. Dusre organizations ke tests ko mila kar total 4,774 tests hue hain, jo har athlete par average 3.4 tests ka hai.

2016 Rio aur 2021 Tokyo Olympics ke mukable, tests ki sankhya mein kafi badhoti hui hai.

April mein Chinese athletes ke doping scandal ke baad, World Aquatics ne bataya ki is saal Chinese swimmers par sabse zyada tests kiye gaye hain.

OLYMPIC GAMES EDITION TESTS FROM JAN. 1 UNTIL START OF OLYMPICS (WORLD AQUATICS) IN-COMPETITION TESTS OUT-OF-COMPETITION TESTS ATHLETES TESTED
Rio 2016 2648 487 2161 1041
Tokyo 2020 2002 208 1794 876
Paris 2024 2958 702 2256 1283

 

1 January se Paris Olympics jaane wale 31 Chinese swimmers ko har ek ko kam se kam 10 baar World Aquatics ne test kiya, aur har swimmer ka average 13 tests hua, dusre oganizations ke tests ko chhodkar.

World Aquatics ne total 418 tests kiye, jisme har Chinese swimmer ko out-of-competition kam se kam aath baar sirf World Aquatics ne test kiya, jo ek WADA-accredited lab Europe mein use kar raha tha.

Dusre organizations ke tests ko mila kar, Chinese swimmers ko average 21 baar test kiya gaya hai 1 January 2024 se. Tulna mein, Australian swimmers ko average chaar baar aur USA swimmers ko chhe baar test kiya gaya.

World Aquatics ne sabhi testing statistics publish kiye, jisme dikhaya gaya ki Olympics mein compete kar rahe Chinese swimmers ko is saal average 21 baar test kiya gaya, tulna mein American swimmers ko chhe baar aur Australian swimmers ko chaar baar test kiya gaya.

Top Chinese swimmers jaise Qin Haiyang ko 2024 mein 21 baar test kiya gaya, jabki Wang Shun aur Zhang Yufei ko 22 aur 19 tests hue, respectively.

Testing Statistics – Eight Largest NOC Swimming Delegations In Paris

NOC NUMBER OF SWIMMERS AVERAGE TESTS PER SWIMMER
USA 46 6
AUS 41 4
ITA 36 5
CHN 31 21
GBR 30 4
FRA 29 4
CAN 28 4
JPN 27 4
GER 25 4
HUN 21 5

 

“It is our top priority that our athletes compete in a clean and fair competition,” World Aquatics ke President Husain Al-Musallam ne kaha. “Our rigorous testing program reflects our dedication to upholding the highest standards of integrity in aquatic sports, aur hum ITA ke partnership ke liye abhaari hain jo is testing mein madad kar rahe hain.”

Chinese team nutritionist Yu Liang ne bataya ki Paris pahunchne par bhi increased testing jari rahi, aur unhone ab delete ho chuki social media posts mein bataya ki 31 athletes ko unke pehle 10 dinon mein lagbhag 200 baar test kiya gaya.

 

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »