Human Spirit Ki Ek Bahot Hi Sundar Story Hai “The Swimmers” Movie

Sally El Hosaini ki new Netflix film ek sports biopic ke sath survival drama aur coming-of-age story hai 2 Syrian sisters ki jo ki apni country mei ho rahe conflict ko escape karke Germany mei jaate hai better life ke liye.

‘The Swimmers’, real-life professional swimmers Yusra Mardini aur Sara Mardini ke early struggles par based hai. Ise Nathalie Issa aur Manal Issa ne bahot hi shaandaar tarike se play kiya hai. Ye dono sisters hai real mei aur inko bonding bhi saaf saaf dekhi jaa skti h fil mei.

Movie ka first half kaafi thrilling aur immersive hai jo ki aapko baandhe rakhta hai seat se. Film ke initial kuch minutes inki happy family life ko dikhate hai jab ye log Damascus mei rhte the. 2011 ki baat hai jab unki life cheer aur dreams se bhari hui thi. But immediately hi film ki story 4 saal aage pahoch jaati hai jab sab kuch change ho gaya hota hai.Bombings aur killings roz ki jindagi ka part bann chuki hai. Kabhi bhi koi bhi maara jaa skta hai isme. Ek din practice session ke dauran jab unke sports complex par attack kiya jaata hai tab Mardinis ye decide kr leti hai ki ab wo log apni country ko chhod kr chale jayenge aur Germany mei refugee ki tarah rahenge.

Iske baad dono sisters parents se door jaane ke liye ready ho jaate hai aur uske baad Turkey ke liye nikal jaate hai aur phir ek overcrowded inflatable boat mei baith kr Greek coast of Lesbos ke liye chale jaate hai.

Jab beech mei Dinghy caves aati hai toh sisters sea mei jump kr deti hai aur sabhi ko safely kinare tak pahochati hai. Unka ye kaam us boat mei aa rhe sbhi logon ke saamne physical testimony tha jo ki hamesha ke liye yaad rkha jayega.

Yusra aur Sara ki story itni jyada incredible hai ki koi bhi ise chahe jaise show krna chahe ye kbhi bhi apni steam lose nhi krti hai. Halaki, second half mei jab in dono sisters ko Berlin mei refugee camp mei shelter mil jaata hai toh Yusra aur Sara phir se train krna shuru kr deti hai, uske baad se film ek typical underdog sports drama mei transform ho jaati hai. Uske baad waha se le kr 2016 Rio Olympics tak ki journey kaafi predictable lagi hai. But Yusra ki win dekhna kaafi shi lgta h real life ki tarah hi film mein bhi.

Aur ye film bhi is moment pr end ho jaati hai, but Mardini sisters ki story specially Sara ki won hi end hoti hai. Use finally apni true calling pata lag jaati hai- jo ki refugees ko Lesbos border ke across safe passage pe laana hota hai.

Film kaafi shi h, aapko bhi ek baar dekhna chahiye aur apne review batana chahiye.

SwimSwam Hindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »