Fully Visually Impaired Swimmer Ne 3 Gold Medal Ke Sath SSC Me 94% Score Kiye

Kalyan Nivasi Siddhi Dalvi Ka Aim Commerce Ki Padhai Ke Saath Para Swimming Me India Ko Represent Karna Hai.

Kalyan nivasi Siddhi Dhirendra Dalvi, jo janm se hi 100% visually impaired hai, ne March me 23rd National Para Swimming Championship 2024 me na keval 3 Gold Medals jeete Balki SSC board exams me 94.20% score kar apne school me second place pe rahi.

Siddhi ke dedication and perseverance ne unhe exams ki preparation karte huye championship ki  training continue rakhne me help ki.

Ab wah apni education ko aage badhate huye Para Swimming me Global Stage pe India ko represent karna chahti hai. Siddhi commerce ki degree lene ke saath saath apne computer skills ko bhi enhance karne ki planning kar rahi hai.

“Siddhi Marathi medium ki akmatra visually impaired student hai, jisne laptop pe exams diye.” Siddhi ki maa Pratiksha Dalvi me kaha, “ Hum Kalyan ke Saraswati Mandir School ke principal J.L Patil ke aabhari hain, jo bahut helpful aur supportive the.”  Unhone Siddhi ko board exams ke dauran laptop use karne ki permission dilane, badhaon ko todne aur ak achha educational environment Dene me important role play kiya.

Ak GR hai jo visually challenged students ko computer/laptop and reader ki help se exams Dene ki permission deta hai.

Initial Challenges

Pratiksha kahti h, “ Siddhi apne bade bhai Prathmesh ki tarah janm se hi visually impaired hai  Jo ak NGO ke liye kaam karta h.Hum National Association for the blind se associated the, aur ak teacher hume padhane ke liye aate the taaki hum apne bachchon ki help kar sakein. KDMC ke ak official ki help se hamne Prathmesh ka admission Saraswati Mandir School me karaya aur baad me Siddhi ko v whan admission mil gaya.

Tech Support

Maharashtra Govt ke dwara GR ne COVID 19 ke time Siddhi ko laptop pe exams dene k liye allow karwaya. Iske baad school me v Siddhi ko laptop use karne diya gaya. Ye practice board exams me turning point saabit hua.

Pratishtha ne garv se bataya, “ Siddhi Maharashtra ko represent karne wali National level swimmer hai aur unhone last year October me 3 gold medals jeete aur is saal  Gwalior me 23rd National Para Swimming Championship 2024 me v gold medals jeete.”

Siddhi ne ak saal se jada samay Tak ak strict schedule follow Kiya, jisme usne apni padhai aur swimming practice ke beech balance banaye rakha. Vah har din subah 4 baje uthkar padhai karti thi, swimming ki practice kabhi nhi chhodti thi aur raat ko 10 baje apna din khatam karti thi.

Powerful Testament

XRCVC ke executive director Dr Sam Taraporewala ne kaha, “ Siddhi ki kahani sahyog, lachilapan aur dhridh sankalp ki takat ka ak shaktishali praman hai. Siddhi last 10 years se XRCVC se Judi Hui hai. Vah bahot focused hai aur janti hai ki uss kya chahiye. Vah Maharashtra me SSC ki pahli student hai jo Laptop pe exams de Rahi hai.”

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-Swimswamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »