13yr Ki Jiya Ne Srilanka Ke Thalaimannar Se Arichalmunai Tak Kiya Swim

Autism Ke Bare Mei Awareness Create Krne Ke Liye, 13-Year-Old Jiya Rai, Jo Ki Madan Rai Ki Daughter Hai Unhone Srilanka Ke Thalaimannar Se Arichalmunai, Dhanushkodi Tak Swim Kiya. Madan Rai Indian Navy Mei Hai.

Jiya Ne Apna Expedition Complete Krne Ke Liye 13 Hours 5 Minutes Ka Time Liya, Unhe Indian Shore Pr Tamil Nadu Ke Director General Of Police C. Sylendra Babu Aur Unke Sath Large No. Of Gatherings Ne Receive Kiya.

DGP Khud Bhi Swimmer Hai Aur Unhone Bhi Apne Team Members Ke Sath Similar Feat Achieve Kiya Tha Recently Hi Palk Strait Mei, Unhone Reporters Se Kaha Ki Ms. Jiya Rai Ne Sri Lanka Se Indian Waters Tak Swim Kr Ke Country Ke Liye Laurels Laaye Hai.

Unhone Swimmer Ko Apni Wishes Conveyed Ki Kyuki Ye Open Water Swimming Ek Big Achievement Hai.

Unke Father Ke According, Jiya Rai Ne Phle Hi World Record Achieve Kiya Hai Bandra, Mumbai Ke Worli Sea Link Se Gateway Of India Tak Swim Krke. Isme Unhe 8 Hours 40 Minutes Lage The. Iski Wajah Se Hi Unhe Pradhan Mantri Rashtriya Bal Puraskar Award Mila Tha, Ye Below 18 Years Ke Citizen Ke Liye Highest Honour Award Hai.

Unhone Select Band Of Swimmers Ko Join Kr Liya Hai, Jisme Kutraleeswaran (1994), R Jai Jaswanth (2019), Edi Hu, USA (2020), Shyamala Koli (2021), Jaise Swimmers Isme Include Hai Jinhone Sri Lanka Se Dhanushkodi Tk Swim Kiya Hai.

Bahot Saare Tourists Ne Bhi Jiya Rai Ko Greet Kiya Aur Unhe Autism Spectrum Disorder Jaise Persons Ke Liye Role Model Bhi Described Kiya.

Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »