FAST RECOVERY ME “MAGNESIUM” KA IMPORTANT ROLE

Right Nutrition Lene Se Hi Recovery Or Performance Dono Improve Hote Hai, Aur Iska Dusra Aur Sidha Matlab Yahi Hai Ki Aapki Body Puri Trah Se Fueled Hai. Sahi Nutrition Lena Jaise Vitamins Or Minerals Ko Sahi Ratio Me Lena Hi Sabse Sahi Tarika Hai Recovery Ko Maximize Krne Ka Aur Apni Body Ki Potential Ko Bdhane Ka. Ye Ek Challenge Se Bhra Hua Hai Kyuki Kuch Vitamins Or Kuch Minerals Se Realted Defect Bohot Common Hai Baki Sabhi Chizo Se Hone Wale Defect Ki Tulna Me. Magnesium Ki Kami Hona Aaj Developed Desh Me Dusri Sabse Badi Deficiency Hai , Or Pahle Number Par Vitamin D Se Hone Wali Deficiency Hai.

Magnesium Se Blood Pressure Badhta Hai, Glucose Ka Tolerance Kam Ho Jata Hai Or Isme Se Koi Bhi Apne Body K Performance K Liye Bilkul Sahi Nahi Hai. Ham Iske Bare Me Abhi Or Baat Krenge Ki Kyu Magnesium Swimmers Ke Liye Jyada Important Hai Aur Kaise Ek Proper Ammount Me Magnesium Mil Skta Hai.

Electrolyte Balance

Magnesium Ek Jaruri Element Hai Jo Energy Ko Bdhane Or Protein Ko Synthesis Krne Me Madad Krta Hai. Or Ye Human Body Me Payi Jane Wali Dusri Sabse Common Electrolyte Hai. Swimmer Hone K Naate, Chahe Aap Swimming Pool Me Practice Kar Rhe Ho Ya Fir Aap Gym Me Weight Training Kar Rhe Ho Aap Dono Hi Jagh Workout Krte Wakt Magnesium Ya Yu Khe Electrolyte Apne Body Se Nikalte Rhte Hai. Or Iska Dhyan Bahut Kam Log Hi Dete Hai, Apko Isiliye Coaches Bolte Hai Ki Pani Ki Bottle Ya Energy Drink Bna Kar Swimming Practice Krne Aaya Karo. Taki Jo Electrolyte Swimming Krte Wakt Kam Ho Jata Hai Use Level Me Bnaye Rkhne Me Madad Milti Hai.

Muscle Relaxation

Magnesium Body Me Musle Ke Tight Hone Or Use Normal Rakhne Me Aham Bhumika Nibhata Hai. Aur  Ye Atp(Adenosine Triphosphate) Bnane Me Madad Karta Hai, Jo Ki Red Blood Cell K Production Ke Liye Important Hai. Magnesium Human Nerve Ko Normal Rakhne Me Madad Krta Hai Or Heart Ki Functioning K Liye Bhi Important Hota Hai.

Better Recovery

Ek Or Magnesium Ki Khas Value Sone Ke Time Dikhayi Padti Hai Jo Ki Swimmers Ke Liye Kafi Jyada Important Ho Jati Hai, Kafi Research Se Pta Chla Hai Ki Brain Me Jo Electrical Activity Hoti Hai Wo Magnesium Ki Kami K Karan Hi Hoti Hai, Jo Kabhi Kbhi Raat Me Bar Bar Achank Uth Jane Ka Karan Ban Jati Hai Or Ek Proper Sleep Apke Body Ko Nahi Mil Pati Hai. Or Agar Sleep Puri Nahi Hui To Recovery To Hona Muskil Hai Or Recovery Nahi Hui To Sube Ki Practice Khrab Ho Skti Hai Isliye Magnesium Ki Important Kafi Jyada Badh Jati Hai.

Source Of Magnesium

Proper Nutrition Ki Help Se Magnesium Ki Kami Dur Ki Ja Skti Hai. Or Niche Mai Ek List Likh Rha Hu Jo Magnesium Ke Acche Resource Hai:-

  • Nuts And Green Leaf Wali Vegetables
  • Dark Green Vegetables
  • Dried Fruits
  • Dark Chocolate
  • Nutriton Shake(Nutriboost Shake) 3 Spoon

Ye Recommend Kiya Gya Hai Ki Swimmers Ko Din Me Kamse Kam 410 Gram To Magnesium Lena Hi Pdega Tab Jake Unke Body Me Magnesium Ki Kami Puri Ho Skti Hai. Isliye Aap Ek Proper Diet Lijiye Or Improve Krke Accha Time Kriye. Thank You!

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »