National Level Swimmer Ko Bechni Pad Rhi Hai “Chai”

Bihar Se National Level Ke Swimmer Apne Family Ko Support Karne Ke Liye Ab Chai Bechni Pad Rahi Hai.

Hum Aksar Dekhte Hai Ki Hamare Indian Athletes Duniya Bhar Mein Apni Achievements Ki Tareef Karte Hai. Ve Desh Ko Proud Feel Karate Huye Medal Ke Saath Apne Desh Mein Return Aate Hai. Halaki, Jo Hum Nahi Dekh Paate Hai Wo Bhi Khel Se Judi Duniya Ki Ek Side Hai Par Ise Andhere Mein Rakha Jaata Hai.System Ki Apathy Ki Wajah Se, Ya Phir State Governments Ki Politics Ki Wajah Se Hamare Athletes Ko Unke Full Potential Ka Use Nahi Karne Ko Milta Hai. Aisi Kai Stories Mein Se Ek Story National Level Ke Swimmer Gopal Prasad Yadav Ki Bhi Hai, Jo Ab Kazipur Mein Ek Chhoti Si Tea Shop Chelate Hai. Jo Ki Bihar Ke Sports, Sports Person Ki Condition Batate Hai. 

Apne International Swimmer Banne Ke Dream Ko Ek Side Mein Rakh Kar Gopal Ko Ab Apne Family Ko Support Karne Ke Liye Chai Bechni Pad Rahi Hai.Unki Financial Condition Ne Bhi Unka Dream Pura Karne Mei Unki Help Nahi Ki Aur Government Aur Sports Department Se Bhi Koi Help Nhi Mili. 1990, Mein Unhone Job Ke Liye Interview Bhi Diye Par Unhe Job Nhi Mili Jiske Baad Unhe Apni Living Ke Liye Kaafi Struggle

Karna Pada. 

“ Swimming Ek Expensive Game Hai. Mere Paas Swimming Club Mein Shaamil Hone Ke Liye Paise Nhi The. Mai Ganga River Mein Practice Karta Tha Lekin Paani Mein Pollution Ke Level Ke Wajah Se Jyada Der Tak Practice Karna Impossible Ho Gaya. Kai Baar Practice Karte Time Ganda Paani Mere Andar Chala Jaata Tha Jiski Wajah Se Body Ko Bhi Nuksan Ho Skta Tha.” Gopal Prasad Ne Ani Se Kaha.

‘National Swimmer Tea Stall’, Bihar Mein Unke Stall Ka Naam Hai. Ye Naam Kai Customers Ko Attract Karta Hai. Yah Puchne Par Ki Iska Naam Aisa Kyu Hai, Gopal Ne Kaha Ki Yah Sabhi Athletes Ki Condition Ko Batata Hai Aur Unhe Ummeed Hai Ki Logo Ko Aware Karega Ki Ek National Level Ka Swimmer Apni Living Ke Liye Chai Bechna Pad Raha Hai. 1987 Mein Gopal Ne Pahli Baar Kolkata Mein Organized National Swimming Competition Mein Bihar Ko Represent Kiya Tha. Iske Baad Unhone 1988 Aur 1989 Mein Kerala Mei Organized National Swimming Competition Mein Kaafi Accha Perform Kiya. Unhone 1988 Mein Bca Danapur Mei Organized State Championship Mein 100 Meter Backstroke Competition Bhi Jeeta Tha.

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »