Swimmers Ko Pure Season Motivate Rkhne Ke Liye Perfect Guide

Tumne Apne Ap Ko Tapti Aag Me Jelaya Hai Kafi Mehnet Kiya Pr Phir Bhi Tum Jo Pana Cah Rhe The Vo Tumko Nhi Mila Ye Baat Jo Hoti Hai Na Hardworking Swimmers Ya Kisi Aur Field Ke Struggler Ko Kafi Peresaan Kr Deti Hai Aur Vo Log Is Baat Ko Leker Apna Mansik Santulan Bhi Kho Dete Hai Dosto Is Baat Ko Jaan Lo Andhera Sirf Kuch Pal Ke Liye Hota Kisi Ne Shi Kha Hai Karm Kerte Jao Uska Fal Ek Na Ek Din Tumko Zaroor Milega Isi Liye Dost Swimming Kerte Jao Ek Na Ek Din Medal Zaroor Milega Ab Aate Hai Un Baat Pr Jisse Struggler Motivate Ho,Dosto Is Article Ko Pura Padhna Tabhi Apko Is Article Ka Matlb Samajh Aayga Ye Article Pranjal Pal Dwara Likha Gya Hai

Facebook Par Swimswamhindi Ko Jarur Like Kare.

Make A Positive Impression

Agar Ap Students Ko Motivate Karna Cahte Ho To, Apko Prove  Karna Padega Ki Ap Vahi Ho Jiski Vo Sunn Sake. Kya Pta Doston Vo Aap Pe Shak Kare Ya Aapki Baat Na Mane? Isliye Aapko Unka Trust And Respect Earn Karni Padegi Or Uske Liye Doston Aapko Use Attention Deni Padegi And Just Hold It. Apne Appearance Me Effort Karte Rahe Kyuki Apko Ek Good And Positive Impression Dalna Hai Unke Dimag Par, Jab Ap Class Me Aye To Good Looking Dikhe. Apna Impression Sahi Dalne Ke Liye Better Or Different Dress Try Kare But Itna Dhayan Rakhe Ki Dress Funky Na Ho Kyuki Aapko Unpar Positive Impression Dalna Hai Unka Ideal Banna Hai.

Give Helpful Feedback

Agar Aap Student Ko Motivate Karna Chahte Hai To, To Apna Feedback Clear Or Meaningful Rakhe. Ek Acha Teacher Humesha Student Bankar Rehta Hai Or Humesha Kuch New Knowledge Gain Karta Hai, Kuch Naya Sikhne Ki Chah Me Khud Ko Hmesha Improve Karne Me Laga Rehta Hai. Khud Ko Improve Karne Ke Liye Sabse Acha Tareeka Hai Ki Aap Apne Students Se Feedback Le Or Us Basis Par Khud Ko Improve Kare. Apni Strength And Weakness Pehchane Aur Isme Aapko Students Help Krenge. Aap Chahe To Written Feedback Le Sakte Hai. Orally Feedback Me Sab Students Sach Nhi Bata Pate They Feel Shy Isliye Written Feedback Is Much Important And Dhyan Rakhe Ki Aapko Sirf Feedback Chahiye, Kisne Feedback Diya Ye Janna Important Nhi So Ho Sake To Feedback Ko Optional Rakhe.

Encourage Group Work

Ek Group Work Students Ko Jyada Knowledge Lene Me Help Karti Hai Or Success  Hone Ke Liye Motivate Hone Me Help Milti Hai. Agar Student Apne Tarike Se Kam Karega, To Vo Successful Hone Ke Liye Same Pressure Feel Nahi Kar Payega.. Jaisa Usne Group Me Other People Ke Sath Feel Kiya Hua Hoga. Curriculum Ko Mix Up Karne Ke Liye Group Work Ek Great Way Hai Jisme Student Class Me Different Chize Kar Jata Hai. Aap Group Me Ek Healthy Competition Bhi Rakh Sakte Ho Student Ko Encourage Karne Ke Liye And Vaise Bhi Ek Group Me Jab Competition Ki Feeling Hoti Hai To Students Unki Umeed Se Jyada Aage Nikal Jaate Hai Or Isse Badi Khushi Kisi Bhi Teacher Ke Liye Nhi Ho Sakti.

Have A Good Sense Of Humor

Ek Good Sense Of Humor Hone Ki Wajah Se Aap Students Ko Apne Kaam Me Engage Kar Sakte Ho, Jisse Subject Jayada Interesting Ho Jata Hai Or Aapke Liye Students Ke Sath Ek Healthy Relation Banana Aasan Ho Jata Hai. The Fact Of The Matter Is, Agar Aap Us Time 100% Serious Ho To, Doston Us Time Student Ko Aapke Sath Kaam Karne Me, Aapke Sath Connect Karne Me Mushkil Aayegi. So Aapko Apne Students Ke Liye Aisa Environment Create Karna Chahiye Jisme Vo Enjoy Kare Or Sath Hi Sath Apse Motivated Bhi Rahe. Aapka Behavior Jyada Rude Nhi Hona Chahiye Ki Students Darne Lage Aur Na Itna Friendly Ki Vo Aapko Seriously Lena Chod De. Simple Se Words Me Kahe To Majak Karna Achi Baat Hai Par Jab Hum Padhayi Kare To Humara Dhyan Sirf Or Sirf Padhayi Me Hi Hona Chahiye.

Be Friend

Friend ek aisa rishta hai jo blood relations me nhi ata, ise hum khud choose karte hai or dost vo hota hai jisse hum har ek baat share kar sakte hai chahe vo kitni bhi personal kyu na ho. Jo hume ache lagte hai hum unko hi friend bana lete hai aur koi bhi problem ho sabse phela naam jo yaad aata hai vo hota hai humare sabse close Friend ka. Apne students ke sath friendly relation develop kare. Isse vo apni problems asani se aapse puch sakte hai. Phir aap unhe achi advice de sakte hai aur vo aram se man bhi lga lenge.

Offer Extra Information About your Subject

Agar aap chahte hai ki students aapke subject ko or excitedly study kare to aapko khud bhi thodi mehnat karni hogi. Apne student ko recent developments ke regarding update rakhe. Agar aap science teacher hai to example ke liye… Scientific American ke bare me article students ko class me padhne ko de. Students ko article summary de, article ki pictures dikhaye, students se article ke concepts ke bare me questions puche and unhe uss article ki copies class ke baad me bhi de sakti hai. Ye mat bhule ki students ko study me interest lane ki duty bhi aapki hai aur sirf aap hi ye kar sakte hai. aur agar ap koi swimming coach hai to apne students ko world best swimmers ke baare me batay ya phir jb vo swimming practice kre tb ap unki videos record kre aur unko dikhaiye ki vo kha kha apne stroke gadbad kr rhe hai isse student ko lgega ki unka coach unki fikar kr rha hai jisse students apne coach se aur friendly honge.

1
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

1 Comment
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments
Ashutosh singh
6 years ago

This is very useful and appreciative article. Teach some more…thanks a lot sir

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »