Six Relationships Jo Aap Pool Me Develop Karte Hai: Indian Swimming News

Swimming Aisa Sport Hai Jo Hume Kai Chiz Deta Hai Aur Humse Kai Chiz Leta Bhi Hai, But “Dene” Ke Coloumn Mei Jo Biggest Thing Hoti Hai Wo Hai Relationships Jo Hum Pool Mei Banate Hai.

Records To Aate Aur Jaate Rahenge, Soreness Bhi Fade Ho Jayegi Aur Wo Awesome Abs Bhi Shayad Slowly Disappear Ho Jayenge, But Pool (Water) Mei Jo Relationship Banegi Wo Lifetime Ke Liye Rahegi.

Apne Teammates Ke Alawa Aaj Kuch Aisi Relationships Ki Baat Karenge Jo Hum Log Develop Karte Hai Pool Mei Over A Lifetime.

O1. Your Coach- Aapke Swim Career Ke Dauran Coach Ke Saath Acchi Relationship Aapko Bahot Help Karti Hai. Aapke Swim Career Mei Aisa Bhi Time Aayega Jab Aapko Aisa Lagega Ki Aapne Apni Team Ke Liye 100% Perform Nahi Kiya Ya Phir Kabhi-Kabhi Aapko Aisa Lagega Ki Aapke Coach Aapki Swimming Ko Utna Attention Nahi De Rahe Hai Jitna Dena Chhaiye. Aisa Bhi Time Aayega Jab Wo Apna Best Denge Aur Aap Bhi Apna Best Doge Aur Uske Baad Jo Proud Feeling Aap Dono Ki Aankho Mei Dikhai Degi Uski Feeling Hi Alag Hogi. Aapke Career Mei Jeet Bhi Aayegi Aur Haar Bhi, But By The End Of It Aap Dono Ek Alag Hi Grown Up Persononality Bann Jaoge. Aap Apne Coch Se Kaafi Kuch Sikhte Ho Aur Wo Bhi Aapse Thoda Bahot Sikhte Hai.

  1. Pain And Discomfort- Frustration, Anger, Helplessness, Aap In Feelings Ko Acche Se Jaante Honge Khaas Kar Tab Jab Aapki Race Bahot Bekar Hui Ho. In Fact, Aap In Feelings Ko Ek Se Jyada Occasion Par Experience Karte Hai. Failure Ke Pain Ko Samajhna Aur Use Bhi Jyada Important Disappointment Ke Pain Ko Accept Karna Aur Use Redirect Karna Sikhna Aapke Swimming Journey Ka Ek Part Bann Jaata Hai. Ye Pain Sirf Emotional Nahi Hota Hai Is Ke Saath Physical Pain Bhi Aata Hai Jab Aap Khud Ko Beyond The Limit Push Karte Ho Training Ke Time. Aap Pain Ko Accept Karna Sikh Jaate Ho Aur Hard Work Karne Se Jo Satisfaction Milta Hai Uski Toh Baat Hi Alag Hai.
  2. Your Teammates- Ye Aise Treasure Hote Hai Jise Aap Sabse Jyada Sambhal Kar Rakhte Hai. Kuch Bhi Ho Ye Hamesha Aapke Saath Rahte Hai, Chhahe Wo Long Coach-Bus Rides Ho, Six-Day Championship Meets Ho, Disqualification Aur Injuries Ho, Best Time Ho Ya Phir Race Mei Last-Place Finishes Ho. Aapke Highs Aur Lows Mei, Aap Swimmer Ki Life Ka Roller Coaster Saath Mei Hi Experience Karte Hai Aur Isse Aapka Bond Aur Bhi Jyada Strong Hota Hai. Swimming Ke End Hone Par, Inme Se Kuch Logo Ke Saath Aap Touch Lose Kar Dete Ho, Aur Inme Kuch Log Aise Bhi Hote Hai Jo Aapko “Civilian” Life Mei Bhi Follow Karte Hai.
  3. That Special Someone- Hum Sabki Ek Na Ek Swimmer Crush Toh Hoti Hi Hai Swi Careers Ke Dauran. Aap Apne Off Stroke Par Jyada Kaam Karna Start Kar Dete Ho Kyu Ki Wo Unka Best Stroke Hota Hai. Acchi Race Hone Par Aap Pahle Insaan Hote Ho Jo Unhe Congratulate Karte Ho, Aur Bekar Race Jaane Par First Person Hote Ho Jo Apna Shoulder Offer Karte Ho. Practice Ke Pahle Aur Sets Ke Between Ke Time Mei Aap Ek Dusre Ko Bahot Acche Se Jaante Ho. Aur Swim Career Ke Baad Bhi Apne First Chlorinated Crush Ko Bhulna Impossible Hota Hai.
  4. The Competition- Hum Mei Se Sab Log Over The Years Apne Competitors Se Jarur Milte Hai. Kabhi-Kabhi Wo Humare Hi Lane Mei Swim Karte Mil Jaate Hai. Sometimes Wo Across The Town Mei Rahne Wale Hote Hai, Aur Kai Baar To Aap Unhe Bass Summers Championship Meets Ke Time Hi Milte Hai. Chhahe Wo Aapki Aapki Lane Mei Ho Ya Na Ho Bass Unka Thought Aate Hi Aap Khud Ko Practice Mei Aur Harder Aur Faster Training Karne Ko Bolte Hai.
  5. The Water- Water Ki Silence Aapke Life Ke Stress Se Distraction Provide Karti Hai. Water Aur Black Line Meditation K Eek Form Ki Tarah Hi Hoti Hai, Jo Aapko Calm, Silence Aur Moment Of Quiet Reflection Deti Hai.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »