Men’s 100 Butterfly Me All Time Fastest Back-Half Splits

2021 ke Third aur final stop ke dauran Kristof Milak jo ki Hungarian hai unhone Barcelona mei chal rahi Mare Nostrum Tour mei 50.95 ki timing ke saath men’s 100 butterfly event jeeta tha aur ek baar phir se unhone 26.71 ki timing ke saath sub-27-second back-half split registered ki.

Race ko dekhte huye aisa laga ki ye history ki one of the fastest back-half splits hai. Kyu ki ye sach mei impressive hai jis tarah unhone second 50 ke dauran apni lead ko increase kiya.

Easy nhi hota hai sub-27 mei wapas home aana. Kuch swimmers ne hi aisa kiya hai. Apne 26.71 ki timing ke saath Milak thoda sa short rah gaye the list mei enter karne se. But is year ki European Championships k 2 swim se hi wo is list mei appear ho gaye. Active swimmers mei, unke paas fastest second 50 hai 26.49 ki timing ke saath jo unhone 2 week pahle hi Budapest mei banai.

But jisne ye list dominate kiya wo hai Michael Phelps. Ye koi surprise toh hai nhi, kyu ki har koi unki 2008 Olympics aur 2009 World Championships ki victories ke baare mei jarur jaanta hoga. Jisme unhone 100 fly ke end mei power ka bahot shaandaar display kiya tha. Infact unki ye dono performances fastest back halves ever rahi hai, but phir bhi fastest nhi thi.

Fastest back-half split 2009 mei register ki gai thi 2009, Canada mei Quebec Cup ke dauran. Phelps 26.34 timing mei hi home return aa gaye. Textile suit mei bhi unka fastest second 50 meter hai, jo unhone 2015 mei USA Nationals mei banaya tha.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »