Kya Aap Jante Hai Ki Olympic Art Ke Liye Medals Ka Upyog Hota Hai?

Is Week Ke Starting Mei,Upcoming Tokyo 2020 Olympic Aur Paralympic Games Ke Organizers Ne Official Poster Artwork Disclosed Kiya Jo Ki 2020 Olympics Ke Various Venues Ko Illustrate Karega.

Tokyo 2020 Olympic Aur Paralympic Games Ki Organizing Committee Ne Last August Mei Announce Kiya Tha Ki Renowned Japanese Aur International Artists Ko Olympic Aur Paralympic Themes Ko Dhyan Mei Rakhte Huye Artwork Produce Karne Ke Liye Select Kiya Gaya Hai.

Japanese News Outlet Kyodo Ne Report Kiya Ki Games Ko Promote Karne Ke Liye 20 Posters Banaye Jayenge. Jisme Se 12 Based Honge Olympics Ki Theme Par Aur 8 Based Honge Paralympics Ki Theme Par.

Tokyo Mein The Museum Of Contemporary Art 7 January Se 16 February Ke Beech Original Poster Artwork Ka Exhibition Host Karega.

Participate Karne Wale Artists Aur Designers Mein Famous Japanese Manga Artists Aur Calligraphers, Sath Hi Sath Japanese Art World Ke Kuch Famous Leading Young Figures, Designers Aur Photographers Shaamil Hai. Is Program Mei Award Winning 4 Overseas Artists Bhi Hai.

Poster Mei Tokyo 2020 Ki Spirit Aur Vision Ko Show Karte Huye Posters Ko Feature Kiya Jayega, Is Program Ka Part Ke Mutabik Sabhi Host Cities Ko Implement Karne Ki Jarurat Hai Jiska Maksad Olympic Aur Paralympic Games Ke Liye Awareness Aur Momentum Create Karna Hoga.

Olympics Games Ke Hisse Ke Roop Mei Art Ki Ek Lambi History Rahi Hai. Olympic Ke Starting Days Mein, Sport Se Inspired Art Ke Liye Medal Diye Gaye The.Swimming Mei Pahle Olympic Champion, Hungarian Alfred Hajos Ne Baad Mei Architecture Mei Medal Jeeta.

1912 Se 1948 Tak, Olympic Mei Art Ke Liye Medal Diye Gaye, Halaki Different Art Competitions Ke Liye Rules Bhi Alag Alag Hai.Halaki Rules Ka Core Same Raha.

Olympic Mein Athletic Competitions Ke Jaise Hu, Gold, Silver Aur Bronze Medal Top Rank Wale Artists Ko Diye Gaye.Halaki Sabhi Competitions Mei Medal Nahi Diye Gaye. Kuch Occasions Par Koi Bhi Medal Nhi Diya Gaya Tha.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »