Ironman Malaysia Me Lt. Col Swaroop Singh Kuntal Ki Behtreen Performance

by SwimSwam 0

October 29th, 2019 Hindi

Indian Army Ke Officer Lt. Col. Swaroop Singh Kuntal Ne Abhi Hal Hi Me Ironman Malaysia Ko Complete Kiya. Ironman Malaysia Ko World Ka Sabse Hardest One Day Endurance Race Name Se Bhi Jana Jata Hai, Swaroop Singh Kuntal Ne Ye Race 12hr And 14 Minutes Me Complete Kari. Is Race Me 3.8km Ki Sea Swimming, 180km Ki Cycling And 42.2 Km Ki Running Bina Ruke Kari Jati Hai. Sabhi Events Ko 17hrs Se Kam Me Krna Hota Hai. Isi Toughness Ke Karan Isko Ek Huge Achievement Mana Jata Hai.

Ironman Race 1978 Me Hawaii Me Start Hui Thi. Ironman Malaysia 26 Oct 2019 Ko Langkawi Island, Malaysia Me Organized Hui Thi Jisme Indian Army Ke Officer Lt. Col. Swaroop Singh Kuntal Indian Fastest Finisher Rhe. Ironman Malaysia Isliye Hardest Event Mana Jata Hai Kyuki Isme 3000m Ki Elevation Cycling Hai And Cycling Krte Wakt 38°C Tak And Walk Karte Wakt 35°C Tak Body Temp Chla Jata Hai. Isse Athlete Ko Na Sirf Physically Balki Mentally Bhi Kafi Strong Hona Pdta Hai.

Halhi me India me bhi ironman 70.3 ayojit hui. India Ki First Ironman 70.3 Triathlon Behad Successful Rahi Jisme 1st,2nd And 3rd Position Indians Ne Jeeti. Ironman 70.3 Triathlon Goa Ke Miramar Beach Ayojit Hui Thi.

  • India Ke Bishworjit Saikhom Jo Ki 27 Saal Ke Hai Unhone Race Ko 04:42.44 Time Ke Sath Complete Kar Ke First Place Par Apni Jagah Bnayi. Bishworjit Saikhome Manipur Ke Rhne Wale Hai Jo Pichle 9 Saal Se Triathlon Me Participate Kar Rhe Hai.
  • 2nd Position Ko Nihal Baig Ne Hasil Kiya Jo Ki IIT- Bombay Ke Student Rah Chuke Hai Wahi 3rd Spot Par Mahesh Lourembam Rhe Jo Ki Manipur Se Hai And School Teacher Hai.
  • 1st Place Par Aye Saikhom Ne Kaha Ki “Meri Performance Mujhe Confidence Deti Hai Ki Mai Future Ke Triathlon Events Me Bhi Behtar Perform Kar Sku”
  • Women Category Me Swiss Ki Athlete Natascha Badman Ne First Place Hasil Kari And Overall Endurance Me 7th Postiton Par Rhi.
  • Team Event Me Delhi Ke Juggernauts Adit Dhaiya(Swimming), Yashish Dahiya (Cycling) And Pankkaj Dhiman (Run) Ne First Place Hasil Kari.

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments