Indian Swimmers Rawana Hue Serbia Aur Rome Ke Olympic Qualifying Events Ke Liye

Three-member ki Indian swimming team, including Srihari Nataraj Serbia ke liye rawana honge Belgrade Trophy mei compete karne ke liye, jo ki ek FINA-accredited Olympic qualifying event hai. Ye event 19th aur 20th June ko hoga. Sajan Prakash abhi Subai mei training kar rahe hai par wo bhi 12th June tak team ko join kar lenge. Olympic ‘B’ qualifying mark achievers Nataraj aur Prakash jo ki A qualification mark ke liye hope lar rahe hai unke alawa team mei seasoned back stroker Maana Patel bhi hai, jo ki Uzbekistan mei hui International meet se recently hi return aaye hai.

Kuch youngsters jaise ki Aryan Nehra, Shoan Ganguli, Tanish Mathew aur Kenisha Gupta jo ki TOPS (Target Olympic Podium Scheme) ke part hai aur kaafi accha performance bhi dikha rahe hai. Nehra aur Ganguli (jo qualification time ko meet nhi kar paaye hai) wo Rome mei travel karenge 23 June ko annual Sette Colli Trophy mei participate karne ke liye jo ki ek FINA-accredited Olympic Qualifying event hai, aur ye event 25,26 aur 27 June ko hoga.

Unhe seasoned coaches Nihar Ameen aur Pradeep Kumar accompanied karenge. Is saal ke April mei Indian swimmers ne Uzbekistan Open mei participate kiya tha jo ki unki first international meet thi jab se COVID-19 lockdown laga hai uske baad se.

 

Squad for Belgrade Trophy:

Srihari Natarj (50m & 100m Backstroke), Sajan Prakash (100m & 200m Butterfly aur 200m freestyle), Maana Patel (100m Backstroke), Kenisha Gupta (50m & 100m Freestyle), Tanish Mathew (100, 200m butterfly, 200 Free), Aryan Nehra (200m, 400m, 1500m, Freestyle), Shoan Ganguli (200m, 400m IM, 100m,200m Butterfly)

 

Squad for Setti Colli Trophy in Rome:

Srihari Nataraj (50m & 100m Backstroke), Sajan Prakash (100m & 200m Butterfly, 200m Freestyle), Maana Patel (100m Backstroke), Kenisha Gupta (50m & 100m Freestyle), Tanish Mathew (200m Freestyle, 200m Butterfly).

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »