Indian Swimmers Ko Top Psychologists Ki Visit Se Hoga Benefit

Renowned Physiologist Aur Sports Science Expert Dr Genadijus Sokolovas Ne Friday Ko Dravid-Padukone Centre For Sports Excellence Mei National Swimming Camp Conduct Kiya. Unki Visit Se Expect Kiya Jaa Raha Hai Ki Isse Senior National Campers Aur Developmental Swimmers Ko Jo Ki Sports Ministry Ke Top Scheme Ke Part Hai Jaise Ki Srihari Nataraj, Kushagra Rawat Aur Mihir Ambre.

Coaches Bhi Is Programme Ka Part Honge Aur Unhe Bhi Workshop Attend Karna Hoga Sokolovas Ki First Ever India Ki Visit Mei.

“Hamare Paas Aisa Koi Nhi Hai Especially Indian Swimming Mei Jo Ki Biomechanics Mei Expert Ho. Jabki Other Sports Mei Hai. Swimmers Ko Aise Analysis Ke Liye Abroad Jaana Padta Hai. But Aisa First Time Ho Raha Hai India Mei Aur Wo Bhi World Ke Best Dr Genadijus Kar Rahe Hai,” Nihar Ameen Ne Kaha Jo Ki Dronacharya Awardee Aur Dravid-Padukone Centre For Sports Excellence Mei Programme Director Hai.

“Ye Bahot Hi Unique Opportunity Hai Indian Swimmers Ke Liye Otherwise Hame Colorado Ke Olympic Training Centre Mei Jaana Padta. Around 50 Indian Swimmers Ko Is Technology Ka Access Milega Aur Is Initiative Se Benefir Bhi Milega. Coaches Ko Bhi Is Programme Se Benefit Hoga.”

Dr Genadijus Sokolovas Ki Research Methodology Leading Swimmers Ke Saath Consultations Paai Gai Hai, Jisme 28-Time Olympic Medallist Michael Phelps Bhi Include Hai.

“Hum Dr Genadijus Ke India Aane Se Bahot Excited Hai. Wo Bengaluru Ke Centre For Excellence Mei 6 Days Spend Karenge Jaha Top Indian Swimmers National Coaching Camp Attend Kar Rahe Hai,” Swimming Federation Of India Ke Secretary General Monal Choksi Ne Kaha.

Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »