Indian Record Holder Rah Chuke MB Balakrishnan Ab Nahi Hai Hamlog Ke Beech

Indian Swimmer M.B. Balakrishnan Jo 50m Backstroke Me National Record Holder Rah Chuke Hai, Aaj Ham Sabke Beech Nahi Hai. Balakrishnan, Chennai Me Tuesday Ko Raod Accident Ka Sikar Hue. Police Ka Khna Hai Ki Balakrishnan Two-Wheeler Par The Or Riding Ke Dauran Slip Ho Gaye Jiske Baad Wo Truck Ke Wheels Ne Niche Aa Gye And On The Spot Unki Jaan Chali Gyi. – Times Of India

Ye Hadsa Tab Hua Jab Balakrishnan Arumbakkam Se Apne Ghar Jayalakshmi Colony, Shenoy Nagar Ja Rhe The. Unke Sath Unki Ek Female Friend Thi Jo Ki Teo-Wheeler Ke Piche Baithi Thi Or Accident Me Bina Chot Lge Bach Gyi.

Police Ka Khna Hai Ki Pura Incident CCTV Me Recorded Hai And Balakrishnan Ke Girne Ke Baad Truck Uske Upar Se Gujar Gyi.

Balakrishnan Ne Truck Ko Overtake Karne Ki Kosis Kari Thi And Hlka Se Truck Ke Hit Lgne Ke Baad Balakrishnan Ne Apna Balance Kho Diya. Jiske Baad Ye Hadsa Ho Gya.

M.B. Balakrishnan Ki Kuch Great Achievements:

  •  July 2010 Me Senior National Me 50m Backstroke Me Gold Medal
  • 11th South Asian Games 2010 Me 100m And 200m Me Gold Medal

Balakrishnan Currently US Me Apni Pdhai Kar Rhe The.

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule.

Facebook► SwimSwam Hindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »