Forbes Ki Most Powerful Ladies Me Bhakti Sharma

Udaipur ki jalpari bhakti Sharma ne swimming mai puri duniya mai apni pehchan banai hai unki isi pehchan ki wejeh se forbs ki taraf se 2019 ke liye jari ki gyi “ most powerful” ladies ki list mai bhakti Sharma ko bhi add kiya gya hai.

Udaipur ki rehne wali karib 28 year old ki bhakti Sharma ne duniya mai apni ek alag pehchan banai hai . swimming ke career mai lagatar new kamal kerne wali bhakti ki hard work ke dam pr is baar unhe forbs 2019 ki  most powerful woman ki list mai add kiya gya hai. Is list mai bollywood star priyanka chopra aur boxer mary kom bhi shaamil hai. Bhakti Sharma ka naam is list mai aane ke baad wo kafi exited hai aur apni  is hard work ko aage bhi jari rekhna chahti hai

Bhakti ne 2006 mai sixteen years ki age mai English channel bhi par kar chuki hai aur itna he nhi ye duniya ke 7  sea and  5 Ocean mai swimming kr chuki hai ye aur ye kaam kerne wali ye world ki first lady hai  aur to aur jurik lake ke international marathon mai bhi ye apne naam gold medal pa chuki hai  aur Antarctica ocean sabse long swimming kerne wali first lady hai aur is kaam ke liye inke naam world record bhi hai .

Ye apni success ka pura credit apni maa ko deti hai .

Sirf 16 ki age mai jalpari ke roop mai bhakti ne apni pehchan puri duniya mai bna li hai aur uske baad bhakti ki success ki story regular aage growth kerti gyi bhakti ab Olympic ki preparation kr rhi hai aur America me rehkr apni study ko bhi complete kr rhi hai bhakti ka kehna hai meri success ke pichle meri ma ka bahut bada role hai unka ye bhi kehna hai ki unki swimming coach unki maa leena Sharma he hai .

Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

Join Us:-

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »