13th South Asian Games 2019: 13 Saal Ki Ridhima Ne Jeeta India Ke Liye Medal

13th South Asian Games

Me Ridhima Veerendra Kumar ne wo kar dikhaya hai jo unki age ki swimmers ke liye behad hi tough ho skta hai. Ridhima Ne 13 saal ki age me South Asian Games Me India Ke Liye Medal Hasil Kiya. unhone 100m Backstroke me 1:05.72 Ke Time Ke Sath Bronze Medal Hasil kiya. 

Ridhima Veerendra Kumar Ko Hamesha Se Hi Paani Ke Saath Ek Alag Hi Affinity Thi. “Starting Se Hi Mujhe Paani Ke Liye Ek Alag Hi Ahsaas Tha, Mujhe Paani Bahot Pasand Tha. Ek Bacche Ki Tarah Hi Mai Paani Ke Saath Khelti Thi,” Voh Kahti Hai. 3rd Class Ke Start Hone Se Pahle Hi Unhone Summer Camp Mein Swimming Karna Start Kar Diya Tha Aur Phir Uske Baad Kabhi Piche Mudkar Nahi Dekha.

Ab Jab Unhe BAC Mein Training Karte Huye 4 Saal Ho Chuke Hai, 13 Years Ki Ridhima National Aquatic Scene Mein Ek Rising Star Bann Chuki Hai. Ek Backstroker Jisne Group IV Mein 50m Backstroke Mein National Record Hold Kar Rakha Hai Aur Is Saal Ke Junior Nationals Mein Kaafi Strongly Perform Kiya Hai, Ridhima Ne Last Month Huye Senior Nationals Mein Bhi Apni Presence Feel Karai. Apni Is Chhoti Age Ke Bawjood Bhi 100m Backstroke Mein Gold, 50m Backstroke Mein Bronze Aur Relay Mein Silver Medal Jeeta.

Jab Unse Unki Is Behatreen Performance Ke Bare Mein Pucha Gaya Toh Unhone Kaha Ki, “Yah Mujhe Accha Laga Kyunki Mai Competition Mein Sabse Chhoti Thi. Sabhi Ki Age 19-20 Saal Thi. Maine Jeetne Ke Bare Mein Nahi Socha Tha, Maine Bass Apna Best Diya.”

Unhone Apne Is Jeet Ka Credit Apne Parents, Veerendra Kumar Aur Sunitha Ko Diya Unke Support Ke Liye. Saath Hi Unhone Apne Teachers Ko Bhi Iske Liye Credit Diya Jiski Wajah Se Aaj Ye Possible Ho Saka. Support System Ke Bare Mein Baat Karti Hui Voh Kahti Hai Ki, “Mere Parents Ne Mujhe Bahot Hi Strongly Support Kiya Hai. School Ne Bhi Mujhe Hamesha Off Diya Hai Jab Bhi Mujhe Off Ki Jarurat Hoti Thi. Teachers Bhi Kaafi Supportive Rahe Hai Who Log Mere Notes Bana Kar Dene Mein Kaafi Help Karte The.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments

About Sanuj Srivastava

Sanuj Srivastava

Indian swimmer Sanuj Srivastava was born on 21 January 1996 in India. He started loving water at the age of 13 and seeing his love for water, his friends named him "Gold Fish". He graduated with a Bachelor of Science degree in Physics, Chemistry and Mathematics in 2016. Sanuj has …

Read More »